home
Shri Datta Swami

Posted on: 25 Feb 2024

               

Poems by Smt. Priyanka

[By Smt. Priyanka Seethepalli, Canada]

 

Poem 1: Chalo uss Desh…
(Written while sitting in flight to India)

Chalo uss desh, o panchi nikal
Jahaan mera mann bas gaya hai
Chalo uss Mandir, darshan lene
Jo Parabrahman ka ghar kehlata hai

Chalo uss desh... Ab pinjre se nikal
Jahaan gyaan ka Saagar behta hai
Koi ek baar usmein naha le
Woh har mitti se dhul jaata hai

Chalo uss desh... Ab rukna mat
Jahaan prem ka Saagar behta hai
Koi ek baar, ek boondh bhi chak le
Woh Unka deewana hojata hai

Chalo uss desh... Ab ud jaa
Jahaan Mahimaon ka Saagar behta hai
Koi ek baar bhi anubhav kar le
Toh Unki kripa har roz dikhne lagti hai

 

Poem 2: Mere Datta ke Charan
(Written after meeting Swami first time after 7 years)

Mere Datta ke Charan choo liya re
Mere Datta ke Charan tak pahunchi re
Woh sirf Unke Charan hi naheen
Par Ghar hai mera, Jannat hai mera

Prabhu ke Charan jo sparsh kya kiya
Pulkit hua tan mann
Mil gayi mrit shareer ko
Ek nayi jaan har kshan

Jhoote rishton mein lipti hui
Chaaron aur ye kaisi maya..
Ek Tum hi ho har pal ka Sach
Asli bandhan sirf Tumhi se paya

Aa kar le jao mujhe
Ab kab tak ye sansaar
Ab kuch naheen paana, kuch naheen dekhna
Tum bin sab hai andhkaar

Choot jaye ye praan ek din
Unhi ke Charan choo ke
Mitti ki bani main mil jaun
Unki Charan dhool banke

 

Poem 3: Kya karu Tumse baatein?
(Written on Valentine's day for Swami)

Mann karta hai Tumse bahut baatein karu
Par kya karu ye main naheen jaanti
Bas aisa lagta hai ki...
Mere pass koi khaas baatein hi naheen

Jab mere hriday mein base ho Tum
Meri antar aatma ki har baat jaante ho Tum!
Tho aur kya bolu? Aur kya sunaun?
Jab meri har baat ko pehle hi sun lete ho Tum!

Shabdh hi na sahi, kuch baatein aisi bhi hoti hai
Jo meri ankhein bol deti hai
Kuch baatein aisi bhi hoti hai
Jo hooton ki muskaan bol deti hai

Kuch baatein aisi bhi hoti hai
Jo mere aansoon bol jaate hai
Aur kuch aisi bhi hote hai
Jo maun reh kar bhi baatein ho jati hai

Kabhi haathon ki mehendi bolti hai
Toh kabhi payal ki jhankaar
Kabhi aankhon ka kajal
Aur dil ki dhadkan Tumhein karti hai pukar

Ab kaunsi baat chupi hai Tumse?
Jab mere mann mandir mein base ho Tum!
Jaise sunte aaye ho ab tak
Aise hi sun lena, Antaryami ho Tum.

Ab har saans pe rahe hamesha
Sirf Tumhara hi naam
Har janam mein sirf Tumse
Prem karna hi mera kaam

Meri aukaat bilkul bhi naheen
Par phir bhi rakhti hoon iccha
Ki sadaa banke rahoon...
Sirf Tumhari hi Priya

Woh pyaar kabhi naheen jaana
Jo Tumse pyaar kabhi naheen kiya
Zindagi mein jo bhi ho jaye
Tum sada rahoge mere Piya

 
 whatsnewContactSearch